मंगलवार, 20 मई 2008

अनुभव चंडीगढ़ का-१

सौरभ जी, धन्यवाद, शायद आप से मेरी मुलाकात दिल्ली मे दैनिक हिंदुस्तान के आफिस मे हुई थी। अखबारी दुनिया की कुछ बातें आप के साथ शेयर हुई। कुछ पुराने दोस्तों का समाचार भी मिला। आपको कानपूर जाना जरुरी था। सो जल्दी निकल पड़े। लेकिन तय हो चुका था की अब साथ काम करना है। मुलाकात हिंदुस्तान के सबसे खूबसूरत शहर चंडीगढ़ में होगी। सभी साथियन को जल्दी ही चंडीगढ़ बुला लिया गया। सो होली बीती नहीं की पूरे जोशोखरओश से सिटीब्यूटीफूल पहुच गए। सभी के सामने कड़ी चुनौती थी। तैयारी शुरू हुई और २१ अप्रिल को दैनिक हिंदुस्तान सोहनी सिटी के साथ सिटीब्यूटीफूल मे रहने वालों के सामने था। अब बात करते है इस शहर की...
वैसे तो चंडीगढ़ को हिंदुस्तान का सबसे सुंदर शहर कहा जाता है। मुझे भी यह शहर पंसंद आया। लेकिन सच कहूँ तो दिल से नही, मेरे साथ आये कई सथिओं ने भी कहा। इसकी वजह भी थी अपनी या और साथियन की जिंदगी कभी इतना व्यवथित नही रहा जितना यह शहर है। इस लिए शुरुआती मुश्किलो से जूझना पड़ा। सच कहता हूँ दोस्तो, वैसे शहर मैं आपका भी मन नही लग सकता जहा चाय पीनी हो तो मीलों चलाना हो।

दोस्तो रात के तीन बज चुके है ड्यूटी भी करनी है सो फ़िर मिलेगे चंडीगढ़ की यादों के साथ....

गुड लक

गंगेश श्रीवास्तव

1 टिप्पणी:

बेनामी ने कहा…

hi bhai,
agar mai kahun ki kisi ko pahchanne ki parkhi najar sourabh jee ke pas hai to sayad yah khud meri hi tarif hogi, jaisa unhone mere bare me yahan likha hai...par yah sach hai...unke pas aane se pahle mai khud ko bhi nahi pahchanta tha...par unhone mujhe jitna diya..usme sabse badi chiz hai mai khud ko pahchan paya....haan unke sath bitaye lambe samay me maine unhe bhi ek naye sire se jana.......suna karta tha ki wo bahut proffesional hai aur kisi ko wo ek chiz to kabhi nahi dete aur wo hai waqt....par mere sath aisa bilkul nahi tha..kanpur jaise anjan sahar me sada ek abhivavak ki tarah sourabh jee ne mera khyal rakha... aur har choti si choti paresani me mujhe gahanto samjhate…..bhale hi office ka buzy houre ho…mujhe yad hai jab bhabhi jee kuch samay ke liye ranchi chali gayee thi tabhi unhe najdik se janne ka mouka mila......ham der rat aksar kai batein kiya karte the...usme kuch bachkani bate bhi hua karti thi..phir unka sero-sayari ka daour..lagta hi nahi tha ki ye wahi sourabh jee hai jo desk par itne sincerly hote hai...jaise ham bachpan ke dost ho......kai bar mere man me ye bat bhi aayee ki kash mai unse kuch aur pahle mila hota..mujhe lagne laga ki are ye to bilkul apne type ke hai...(yahan type bole to har kisi ke sath uske hi mood ka hokar use apna banane ke kala unhe khub aati hai) ghar par unka sada life style mujhe bold kar deta tha..ek bat kahun to unki kuch aada mujhe bhi diwana bana deti thi..(ek bar sourabh jee se maine kan me kaha bhi tha ki agar mai ladki hota to jarur mere pyar aapke liye kuch aur hota) sourabh jee ko janne wale sayad hi ye jante honge ki ishi karan wo ladkiyon ke bich attraction point bane rahte hai...(agar mera observation galat nahi hai to)......ha to mai sourabh jee ke sath rat bitane ki bat kar raha tha..(aap anyatha na le) kai sal pahle ki likhee unki dayari dekhar mai awak rah gaya ki use unhone kine sambhal kar rakha hai..darasal unhone apni dayri nahi emotion sambhal rakha tha...roj ek episode ki tarah sourabh jee ki sadi se jude rochak baten suni...unki ankhon ki chamak me abhi bhi unka bachpan saf jhalak jata tha...ishliye we mujhe bade pyare lage..aur mare man me unki ek naye tasvir bani aur wo purani tasvir tut gaye jo mai delhi se lekar aaya tha....yah such hai ki mai unhe kabhi na nahi kah pata tha...(kuch kahne ka sourabh jee ka andaj hi aisa hota hai ki aapse kuch bhi manwale) roj wo ghar jate waqt mujhe baton me phasakar sath le jate...waise ghar office se pas hai..par phir bhi mai sochta tha ki aaj kuch bhi ho mai nahi jaunga...par ye silsila unke kanpur rahte tak khatm nahi hua..unke sath harkar bhi mujhe khusee si milti thi....han jidd par aa jaye to unse bada jiddi koi nahi..office me aksar humlogon se party to le lete par apni bari gul kar jate.....(abhi unke kareeb ke mitro hosiyar...) mujhe yad hai specile suppliment ke liye subah tak hamare pas siway sourabh jee ke bharose ke kuch nahi hota tha aur rat tak matter se lekar har technical chiz ko wo bade aasani se clear kar lete the...mujhe afsos rahega unse bahut kuch sikhne ka sunhara mouka piche chut gaya.....waqai is industry me unke jaise hi allrounder ki jarurat hai.......saf lahje me kahen to sourabh jee uddh ke wo sipahi hai jo jarut pade to bawarchi se lekar sima par banduk bhi bakhubi chala sakte hai...sayad yahi wajah bhi rahi ki kuch unche post ke log unse ersaya bhi rakhte the....mujhe kisi mahapurush ki bat yad aati hai ki agar aapse koi jalta hai to samajhiye aap tarrakki kar rahe hai....saurabh jee ke sath bhi aisa hi kuch dekhne ko mila…aaj hindustan jaise bade brand me achche post par join kar unhone ishe bat ko such kar dikhaya hai aur yahi unka award bhi hai....mujhe us din ka intjar bhi rahega jab mai noukri ke liye katar me baitha hunga....aur cabin ke andar jaun to interview lenewalone me editor ki kursi par sourabh sir se samna ho.....
Rajnikant Pandey